duniya main apna sara husn teri hatheli par rakh deta hun aur tu apna sara zahr mere andar undel deti hai jaanti hai nan main ziyaada der khali nahin rah sakta meri gunj mujhe apni lapet mein liye rakhti hai sahma pada rahta hun der der tak apne hi andar apne khali pan ke sannate mein ya phir dhama-chokadi karti an-kahi nazmon ke shor mein chup chap baith rahta hun apne sath kya aziyat hai? apne aap se milte hue khud-kalami bhi nahin ho pati mujh se! bolta hun to lafz zamin par girte hain reza reza harf chun kar aankhon se chumta hun ki apni samt lautte samay main unhen raund kar nahin guzar sakta so kohar ki dhund mein ghire hue muhajir parindon ke par utha lata hun apni kitab mein rakhne ke liye tab apna suna-pan achchha lagne lagta hai jab lafz parindon ki tarah mere aas pas udte phirte hain un ke rizq se bhara rahta hai mera baatin wo apni nannhi nannhi chonchen khol kar mere wajud se apne maani chugte hain unhi ki chahkar le ke aata hun main tere liye meri pyari duniya!!!