kaisi makhluq thi aag mein us ka ghar tha alaw ki hiddat mein mawwaj lahron ko apne badan ki malahat mein mahsus karti thi lekin wo andar se apne hi pani se darti thi kitne hi ushshaq apni jawani mein pani mein ek saniya us ko chhune ki khwahish mein niche umuq mein bahut niche utre magar phir na ubhre samundar ne manthan se un ke wajudon ko zam kar liya dudhiya jhag ne aur kohna namak ne unhen apni tezabiyat mein ghulaya bhadakti hui aag ne jazr-o-mad mein lapeta unhen sar se pa tak jalaya magar koi shoalon se kundan sa sipon se moti sa bahar na aaya wo ab bhi samundar mein ithlati sathon ke nile bahaw mein apne alaw mein qasr-e-zamurrad mein tanha bhatakti hai ek ba-aha aab-o-atish mein rangon ki barish mein ab bhi wo zulfen jhatakti hai to ud-o-ambar ki mahkar aati hai qatraat ud kar dahan kitne ghongon ka bharte hain us ki jhalak dekhne ke liye aaj bhi log marte hain ab bhi yahan kashtiyon aab-dozon jahazon ke arshon pe us ki hi baaten hain duniya ke sayyah saton samundar ke mallah us ke na hone pe hone pe takrar karte hain us ki kashish mein bahut dur ke paniyon mein safar ke liye khud ko tayar karte hain main bhi yahan muztarib aur behaal khasta-o-parina takhte pe bahta hua ek khufta jazire ke nazdik kya dekhta hun ki wo ek patthar pe baithi hai pani pe tari hai ek kaif sa chandni ki lapak aur hawa ki madhur lai pe machhli sa niche ka dhad us ka shaffaf pani mein hilta hai abreshmin nur mein aks-e-simab sa us ke galna chehre pe khilta hai ab dekhiye mujh sa mabhut aashiq use apni aaghosh mein kaise bharta hai gharqab hota hai marta hai