sitare mujhe apna jalwa dikha waqt ke kis khala mein mazahir ki kis kahkashan mein zamane ke kis dubb-e-akbar mein tera thikana hai lakhon baras se tujhe dekhne ki talab mein junhi sham dhalti hai main khud-ba-khud khinchta aata hun is ghaar-e-shab mein! ajab ghaar hai ek bazar hai sail-e-lamat ka aaine nasb hain rang udte hain shishon ke pichhe chamakdar chizon ka ambar hai reshmin than khulte hain ek ek kar ke tahon par tahen lagti jati hain muqayyash, fardar kapdon ki aaankhon mein chobi munaqqash chhaton se umandti hui raushni jhilmilati hai lahron ki surat zari jhaalaron par mutalla lakiron pe chandi ke pannon pe silki mahin aur ghane hashiyon par sitare damakte hain mawwaj jali se aawaz aati hai dekhen ji bazar mein is se badh kar murassa koi aur kapda nahin hai ise jo bhi pahnega bilkul sitara lagega sitare ke manind chamkega kya main tujhe dekh paunga is lan-tarani ke gumbad mein meri sada gunjti hi rahegi na jaane tujhe kis ke malbus par khwab ki nok-e-sozan se tanka gaya hai!!