mere saqiya mujhe bhul ja mere dilruba mujhe bhul ja na wo dil raha na wo ji raha na wo daur-e-aish-o-khushi raha na wo rabt-o-zabt-e-dili raha na wo auj-e-tishna-labi raha na wo zauq-e-baada-kashi raha main alam-nawaz hun aaj-kal main shikasta-saz hun aaj-kal main sarapa raaz hun aaj-kal mujhe ab khayal mein bhi na mila mujhe bhul ja mujhe bhul ja mujhe zindagi se aziz-tar faqat ek teri hi zat thi teri har nigah mere liye sabab-e-sukun-e-hayat thi meri dastan-e-wafa kabhi teri sharh-e-husn-e-sifat thi magar ab to rang hi aur hai na wo tarz hai na wo taur hai ye sitam bhi qabil-e-ghaur hai tujhe apne husn ka wasta mujhe bhul ja mujhe bhul ja qasam iztirab-e-hayat ki mujhe khamushi mein qarar hai mere sahn-e-gulshan-e-ishq mein na khizan hai ab na bahaar hai yahi dil tha raunaq-e-anjuman yahi dil charagh-e-mazar hai mujhe ab sukun-e-digar na de mujhe ab nawed-e-sahar na de mujhe ab fareb-e-nazar na de na ho wahm-e-ishq mein mubtala mujhe bhul ja mujhe bhul ja