mujhe jaana hai ek din teri bazm-e-naz se aakhir abhi phir dard tapkega meri aawaz se aakhir abhi phir aag utthegi shikasta saz se aakhir mujhe jaana hai ek din teri bazm-e-naz se aakhir abhi to husn ke pairon pe hai jabr-e-hina-bandi abhi hai ishq par aain-e-farsuda ki pabandi abhi hawi hai aql o ruh par jhuti khudawandi mujhe jaana hai ek din teri bazm-e-naz se aakhir abhi tahzib-e-adl-o-haq ki kashti khe nahin sakti abhi ye zindagi dad-e-sadaqat de nahin sakti abhi insaniyat daulat se takkar le nahin sakti mujhe jaana hai ek din teri bazm-e-naz se aakhir abhi to kaenat auham ka ek kar-khana hai abhi dhoka haqiqat hai haqiqat ek fasana hai abhi to zindagi ko zindagi kar ke dikhana hai mujhe jaana hai ek din teri bazm-e-naz se aakhir abhi hain shahr ki tarik galiyan muntazir meri abhi hai ek hasin tahrik-e-tufan muntazir meri abhi shayad hai ek zanjir-e-zindan muntazir meri mujhe jaana hai ek din teri bazm-e-naz se aakhir abhi to faqa-kash insan se aanhken milana hai abhi jhulse hue chehron pe ashk-e-khun bahana hai abhi pamal-e-jaur aadam ko sine se lagana hai mujhe jaana hai ek din teri bazm-e-naz se aakhir abhi har dushman-e-nazm-e-kuhan ke git gana hai abhi har lashkar-e-zulmat-shikan ke git gana hai abhi khud sarfaroshan-e-watan ke git gana hai mujhe jaana hai ek din teri bazm-e-naz se aakhir koi dam mein hayat-e-nau ka phir parcham uthata hun ba-ima-e-hamiyyat jaan ki bazi lagata hun main jaunga main jaunga main jata hun mein jata hun mujhe jaana hai ek din teri bazm-e-naz se aakhir