nahin main yun nahin kahta ki ye duniya jahannam aur hum sab is ka indhan hain nahin yun bhi nahin kahta ki hum jannat ke basi hain saron par la-jawrdi shamiyane aur pairon mein nirale zaeqon wale phalon ke ped shir o shahad ki nahren machalti hain mujhe to bas yahi kuchh aam si kuchh chhoti chhoti baaten kahni hain mujhe kahna hai is dharti pe gulshan bhi hain sahra bhi mahakti narm mitti bhi aur us ki kokh mein khwabon ka jadu aane wali nit nai faslon ki khushbu bhi chatakhti aur tapti sakht be-his khun ki pyasi chatanen bhi mujhe kahna hai hum sab apni dharti ki burai aur bhalai sakhtiyon aur narmiyon achchhaiyon kotahiyon har rang har pahlu ke mazhar hain hamein insan ki manind khair o shar mohabbat aur nafrat dushmani aur dosti ke sath jina hai isi dharti ka shahad o sam isi dharti ke khat-mith jaane pahchane maze ka jam pina hai mujhe bas itna kahna hai ki hum ko aasmanon ya khalaon ki koi makhluq mat samjho