mujhe talash karo

shajar se tut ke jab main gira kahan pe gira
mujhe talash karo

jin aandhiyon ne meri sar-zamin udhedi thi
wo aaj maulid-e-isa mein gard udati hain

jo ho sake to unhi se mera pata puchho
mujhe talash karo

chali jo mashriq-o-maghrib se tund-o-tez hawa
mere shajar ne mujhe pyar se samet liya

mujhe lapet liya apni kitni bahon mein
ye be-lihaz anasir magar ba-zid hi rahe

main barg-e-sabz gira barg-e-zard ki manind
usi sulagti hui rakh si patawar mein

jo bichh rahi hai ufuq se ufuq ke par talak
mujhe talash karo

shajar se kat ke zaban kat gai na ho meri
main chikhta hun magar harf-e-na-shunida hun

hayat-e-taza hai meri shajar se mera milap
ki bas wahi meri baalidgi ka mamba hai

jo regzar mein chhitnar dekhne hain tumhein
mujhe talash karo

falak ke raaz to khulte rahenge ham-nafaso
mere wajud ka bhi ab to raaz fash karo

mujhe talash karo


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close