mujhe wapas kar de

dil-e-pur-shauq ki daulat mujhe wapas kar de
meri pahli si tabiat mujhe wapas kar de

wo tamannaen wo khwahish wo tadap wo arman
wo tasawwur ke khilaune wo khayalat ke khel

wo bila-wajh ladai wo bila-wajh ka mel
khwab-alud saweron ki wo bedar shaben

jin mein angdaiyan kuchh tohmat-o-dushnam ki thin
jo bahut qimti thin aur bade kaam ki thin

wo ladakpan ka zamana wo salone shab-o-roz
wo umangen wo tarangen wo tajassus wo kharosh

wo badi shokh jawani bada masum sa josh
wo lipatne ke bahane wo chhitakne ke jawaz

wo na samjhi hui baaton ka suragh aur wo raaz
wo jhijakti hui sanson ka shararat bhara saz

phir mujhe chahiye wapas ba-sad-andaz-o-niyaz
ai sanam-khana-e-mazi ke but-e-pur-eajaz

la mere lahje ki luknat mujhe wapas kar de
la mera sigha-e-ulfat mujhe wapas kar de

la meri awwalin chahat mujhe wapas kar de
la meri sari mohabbat mujhe wapas kar de


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close