meri man ko tale lagane ki aadat nahin thi us ke trunk bhi khule rahte the almariyan bhi use mohabbat bhi wafar mili thi tauqir bhi use saheliyan banane ki bhi ijazat thi aur hansne ki bhi wo gham bant lene mein bhi aazad thi aur khushiyan taqsim karne mein bhi use bahut saraha jata tha aur chaha bhi use waqar bhi diya gaya tha ikhtiyar bhi use tale lagane ki na aadat thi na zarurat us ka hath bhi khula tha aur dil bhi us ki beti har roz tale kharidti hai jagah jagah lagati hai us ke pas sentne aur chhupane ko bahut kuchh hai shadi ke agle hi roz us ne apne pindar ki kirchiyan samet kar daraaz mein rakkhin izzat-e-nafs ke tukde almari mein chhupae apne waqar ki udti dhajjiyan samet kar trunk mein dalin har jagah tala lagana pada use na saheliyan banane ki ijazat hai na hansne ki us ke labon par qufl zaruri hai wo na kisi ka gham bant sakti hai na khushiyan use na waqar diya gaya hai na ikhtiyar us ke hath bhi bandhe hue hain panw bhi koi kisi trunk mein na dekh le kisi daraaz mein na jhank le koi aankhon mein na dekh le koi dil mein na jhank le tale lagana us ki zarurat bhi hai majburi bhi