tumhaari khub-surati hai ya maut ka khayal baghon mein is bar kuchh ziyaada hi khile hain gulab dekho in moron ki aankhon mein baadalon ka tawil intizar hamari bechaargi tumhaare naz-o-andaz tarikh gawah hai kitaben bhari padi hai zinda afsanon se is kashmakash ka hasil kya hai wasl ya firaq ye aadi-tirchhi si lakiren jin se bane hoe daere ko hum mulk kahte hain jahan aazadi ke liye ruhen rahti hain tadapti qaid-khane nahin to aur kya hain yug bit gae waqt badal gaya kitaben chat dali gain lekin kahin koi masiha sach kahne ko aaj bhi nahin tayyar kahte hain ki aankhon mein chhupi hui hoti hai maut ki aahat ghar ho ya bazar kisi se nazar milate hi in dinon hone lagti hai ghabrahat kya nafasat se chabuk marte hain hukkaam maza aa raha hai kahte hain awam