main ki guftar ka mahir tha jahan-dida tha log sunte the meri aur sunate bhi the apne dukh-dard mein dubi hui sari baaten masala kaun sa aisa tha jise hal na kiya aaj bhi bhid thi logon ki mere chaaron-taraf main ne har ek ko baaton mein sukun-yab kiya phir koi dur se deta hai sada kaun ho tum aae ho kaun si nagri se zara nam to lo nam to main ne bataya use fauran apna aur main kaun hun aaya hun main kis nagri se main ne jab khud se ye puchha to musalsal chup thi chaaron-atraf mein sadiyon ki muqaffal chup thi