mustaqbil

aane wala hai bahut jald ek aisa ahd bhi
dahr ke haalat-e-maujud fana ho jaenge
aur hi ho jaenge kuchh ye zamin-o-asman
aur hi kuchh roz-o-shab subh o masa ho jaenge
rifaton par har taraf chha jaega zoaf o jumud
arsh wale mail-e-taht-us-sura ho jaenge
pastiyan kar lengi tai sare maqamat-e-fraaz
khak ke zarre surayya tak rasa ho jaenge
azmat o zillat ka sara imtiyaz uth jaega
ek manzil mein shahanshah o gada ho jaenge
khak mein mil jaega sarmaya-daron ka ghurur
ahl-e-nakhwat rahi-e-mulk-e-fana ho jaenge
faqr-o-faqa ki jagah le lenge itminan o aish
muflis o mazdur aazad-e-bala ho jaenge
safha-e-hasti se mit jaega nam-e-zulm-o-jabr
ahl-e-istibdad sab be-dast-o-pa jaenge
hakim o mahkum mein baqi na hoga koi farq
ek ahl-e-takht o ahl-e-boriya ho jaenge
munhadim ho jaega diwar-e-zindan khud-ba-khud
ahl-e-zindan qaid-e-mehnat se raha ho jaenge
tut jaengi qafas ki tiliyan ek aan mein
chahchahon se bostan rangin-nawa jo jaenge
Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close