mutriba saz utha raat chali jaegi phir wahi git suna raat chali jaegi shab ki aaghosh mein madhosh sitare honge dil pe tanhai ke chalte hue aare honge subh phir hogi wahi shokh nazare honge gham ke maron ne kaha raat chali jaegi mutriba saz utha raat chali jaegi zulf khole hue barsat ka mauqa aaya baad muddat ke mulaqat ka mauqa aaya hae taqdir se ye baat ka mauqa aaya sham-e-umid jala raat chali jaegi mutriba saz utha raat chali jaegi tujh ko ‘zarrin’ chamakte hue taron ki qasam in machalti hui madhosh bahaaron ki qasam husn-e-rangin ki qasam chand sitaron ki qasam dil-ruba laut bhi aa raat chali jaegi mutriba saz utha raat chali jaegi