na-dida rifaqat mein

kuchh bhi to nahin waisa
jaisa tujhe socha tha

jitna tujhe chaha tha
socha tha tere lab par

kuchh harf duaon ke
kuchh phul wafaon ke

mahkenge meri khatir
kuchh bhi to nahin waisa

jaisa tujhe socha tha
mahsus ye hota hai

dukh jhele the jo ab tak
be-nam masafat mein

likhne ki mohabbat mein
padhne ki zarurat mein

be-sud riyazat thi
be-faiz ibaadat thi

jo khwab bhi dekhe the
in jagti aankhon ne

sab kham-khayali thi
phir bhi tujhe pane ki

dil ke kisi goshe mein
khwahish to bacha li thi

lekin tujhe pa kar bhi
aur khud ko ganwa kar bhi

is habs ke mausam ki khidki se hawa aai
na phul se khushbu ki koi bhi sada aai

ab nind hai aankhon mein
nan dil mein wo pahli si taza sukhan-arai

nan lafz mere nikle
nan harf-o-muafi ki danish mere kaam aai

nadida rifaqat mein
jitni bhi aziyyat thi

sab mere hi nam aai
kuchh bhi to nahin waisa

jaisa tujhe socha tha
jitna tujhe chaha tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close