tahayyur ki fazaon mein koi aisa parinda hai jo pakdai nahin deta hai koi khwab aisa bhi azal se hai jo an-dekha koi aisi sada bhi hai samaat se wara hai jo basarat ki hadon se dur ek manzar hai jo ab tak tasawwur mein nahin aaya kahin kuchh hai jo ek pal dil mein aa thahre to jism-o-jaan ke hone ka ek bain-e-hawala ho jo giton mein utar aae to is dharti se nile aasman tak wajd tari ho jo lafzon mein rache to baat phulon ki tarah mahke agar lamhon mein dhadke to zamanon mein sada phaile agar manzar ke andar ho to binai ko apna haq ada karne ki jaldi ho wo shayad hai ek aisi dastan jo ruh ke andar hai poshida ek aisi sans jo sine ki tah mein chhup ke soi hai ek aisa chand jo aflak se bahar chamakta hai muqaddar hi badal jae use gar likh diya jae hamare darmiyan hona