ai mere rah-e-safar ke sathi tum meri maut ki dahliz talak sath sahi zist ki raat ke is pichhle pahar kyon pilate ho mohabbat ki dawa ab mera rog to achchha nahin hone wala ab koi khwab bhi sachcha nahin hone wala tum meri aankh se dhalke hue ashkon ko phir se wapas unhi do aankhon mein lauta doge kya mera khoya hua waqt mujhe la doge kyon mere chum ke lab dard jagate ho mera kya kabhi sukhe hue gul pe bahaar aai hai ab mere tut ke bikhre hue tukdon ko na jod tut ke bikhre hue shishe na judte dekhe par-kate panchhi hawaon mein na udte dekhe