meri ye nazm shae nahin ho sakti ye ishaat ke qabil nahin is mein shamil hai gahra dukh hum sab ka mushtarka dukh jise mahsus kiya ja sakta hai bayan nahin ehtijaj aur mazammat is ke lafzon mein nara-zan aansu aur aahen is ka dariya sath pe bah jati hai siski lekin main ye nazm diwar par kaise likhun ki har diwar hui hai bahri ab ye paison ka chand takon ka khokhla gunga izhaar ho gain hain mahz un par likha koi nahin padhta main ye nazm dard ke samundar mein phenk dunga ya tukde tukde kar dunga ya jala dunga main ise shae nahin hone dunga hargiz shae hui to sharik ho jaenge is mein sab mohabbat karne jaanne aur samajhne wale sab ke sab phir bhi main likhunga zarur ki nazm hi hai mera ehtijaj mazammat nara aur mohabbat main khamoshi aur khule andhe-pan ke mahaul mein ek nazm likkhunga zarur