hazaron patton par tum ko khat likhe ek ek jaan pahchan wale se puchhta phira hun jitne munh the utni baaten jaane kaun ho? tum ko jaanta nahin, pahchanta bahut hun pata nahin kaun se khwab mein kis tarik lamhe mein bechain be-nind raat ki kaun si karwat mein achanak raushni sa tum ko dekha tha tab se tum se mohabbat ho gai hai tumhaara pur-sukun bhar pur chehra us par meri puri pakad hai tum ko pane ke pagal-pan mein sari duniya ki tarikh jughrafiya falsafe, samaji ulum adab, shairi sare funun-e-latifa sab kuchh jaan liya tamam zamanon ki insani shaklen tum se milata hun taqdir ko likhe hue aadmi ke sare mohabbat-name padhta hun shayad kahin tumhaara zikr ho abhi abhi tum ko kasi hui bhid ke aakhiri sire par dekha hai achanak rele par rela, dhakke par dhakka kahin bhi koi shigaf nahin insani jismon ki unchi diwar tum tak kabhi bhi pahunchne na degi