aur ab meri monchhen purane sweater ki udhdi hui safed un pile kaghaz mein rakkhi siyah film aur thuk-dibiya mein band teri man ke ghane baal jinhen chumte chumte main ne raaten teri soch mein aainon jaise baramdon ki munaqqat safedi pe mal den jahan bain mandla rahe the jahan qahr ki subh aate hi sare stethoscope sanp ban jaenge aur bad-atwar narson ki aankhon ke surakh kide makodon ki aamaj-gah mere na-tawan dosh par shaal aur tu shamshad-qad aahani jism sine mein ajdad ka ilm maujon ka shor daba kar mere kandhe aur man ke pair mathe ka bosa ki jannat ke phulon ka ras kuchh raqam de ke budhe muhafiz ko main ne kaha tha ki ye ghas to saf kar do kahin qabr nannhi si chhup hi na jae