nadan

kitna nadan hun abhi tak main
jaanta hun ke ek din tum ko

dur hona hai meri duniya se
chahe jata hun tum ko main phir bhi

aur yaadon ko apne sine mein
yun chhupae hue hun duniya se

jaise moti ko sipi rakhti hai
kash tum jaantin tumhaare liye

kitne arman hain mere dil mein
ek arman tum ko pane ka

ek sadma tumhein ganwane ka
ek khwahish ki tum bano meri

ek khwahish ki tum qarib raho
ek hasrat ki lab tumhaare kabhi

nam mera bhi len mohabbat se
ek khadsha ki tum ko khone par

dil mera bhi kahin na kho jae
apni barbaadiyon ka khauf nahin

khauf itna hai ki kahin tujh ko
pae jaane ki meri ye koshish

kar na jae kahin tujhe ruswa
kitna nadan hun ki main phir bhi

chahe jata hun chahe jata hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close