main nadi hun aur mujhe fakhr hai is baat ka ki main nadi hun chalte rahna meri aadat hai apne raste khud banana aata hai mujhe aur achchha bhi lagta hai main nahin chahti ki koi ek daera khinch ke bata de mujhe ki ab ta-umr mujhe yahin rahna hai ek chhota sa gol sa mahfuz daera jahan na mujhe pattharon se takrana hoga na hi apne wajud ko qaem rakhne ke liye roz roz jang ladni hogi mera wajud sirf pani se nahin bana meri aazadi meri himmat aur mera junun ye sab mil ke banate hain mujhe aur malum hai mujhe ki har-pal har lamha main us manzil ki taraf badh rahi hun jahan maut ko intizar hai mera phir bhi main dhire nahin chalna chahti hun balki lamha-dar-lamha meri raftar badhti ja rahi hai