raat ek nile khwab mein main ne pani ki aamezish se gundhe gae gandumi rang mein apni mahbuba ke jaise do nim-barhana jism hain dekhe pahla khushi ka duja gham ka surat qamat aur badan ke khadd-o-khal bhi ek jaise the bas donon mein ek farq tha gham ke jism mein paya main ne ek gahra sa naf-piyala