raat ka ye samundar tumhaare liye tum samundar ki khatir bane ho dilon mein kabhi khushkiyon ki sahar ka tasawwur na aae isi waste tum ko be-baadban kashtiyan di gai hain safar raat ke us samundar ki gahraiyon ka safar-e-be-karan hai akele ho tum aur akele rahoge magar aasman ki jagah aasman aur zamin ki jagah ye zamin tum se qaem hai daim hai ye raat aur raat ke tum amin ho agar aankh mein nur ka koi manzar hai us ki hifazat karo