ye tum na kahna kisi se tum ko kabhi mohabbat nahin rahi hai tumhaare lab par hikayat-e-mehr-o-ulfat nahin rahi hai tumhaari aankhon ne ek shab bhi na koi qurbat ka khwab dekha na khun mein iltihab paya na ruh mein iztirab dekha ye tum na kahna tumhaare ehsas ki zamin par koi na guzra badan-darida khizan-rasida-o-pa-tapida saloni rangat ki chahaton ne kabhi na hosh-o-hawas lute hatheliyon mein na chand utra na ungliyon se sharar phute jo tum kaho to bas itna kahna tumhaari aankhon ke aanganon mein nai ghataen utar rahi hain isi liye to purane mausam ka koi manzar bacha nahin hai guzishta saat ka koi paikar raha nahin hai