takhayyul ki unchi udanon se aage jahan khwab tute pade hain meri aarzu thi wahan ja ke dekhun rafiqon raqibon ke chehre meri har baghawat pe hanste rahe hain main raftar ke daere tod kar khuda se pare ja chuka hun farishton ki pahli baghawat ka manzar mujhe yaad aaya kuchh aisa laga jaise aadam ka sara alamiya nai justuju ke sahaare hamesha rahega har ek bar baghi nae ban ke wo dastan phir se dohra rahe hain khud iblis hairan hai khair o shar ki nai kashmakash mein ulajh kar har ek bar ye sochta hai khudaya! main mazlum hun meri fitrat mein jo sar-kashi thi wo aadam se thi tera banda hun aajiz hun tu rahm kar dekh ek muddat se aadam ke bete tujhe aur mujhe bhul kar sirf be-nam be-sud se justuju ke sahaare badhe ja rahe hain unhen teri rahmat tera qahr kuchh bhi daraata nahin mujhe aaj pahli dafa dar laga hai kahin ye mujhe aur tujhe qaid kar ke sirf takhliq ke jurm mein wo saza den jis ko lakhon baras se ye sahte chale aa rahe hain!