nai paud

ye nai paud al-hafiz-o-al-aman
rad hai tufan hai aatish-fishan

khelne mein josh padhne mein kharosh
harkaton se in ki ud jate hain hosh

nashte ki mez par chhin aur jhapat
phenk den chamche rakabi den ulat

aur phir tayyariyan school ki
shamat aae mez ki stool ki

ye gae aur jaise tufan tham gaya
ek sannata hawa mein tham gaya

sham ko aate hi naukar par khafa
aaj anda hai na murghi khaen kya

dal mein gar ghi nahin to hai itab
gar pasnde kam paden to hain kabab

fikr un ke pet bharne ki karo
aur phir school ke qisse suno

aaj mote master chakra gae
uthte hi diwar se takra gae

board par jo kal likha tha mit gaya
ek bada shaitan ladka pit gaya

mushkil angrezi hai hindi bor hai
ye padosi ka bhatija chor hai

ladkiyon ke madrase ki kya hai baat
roz raste mein nai ek wardat

bas mein ek teacher ka takhna mud gaya
ek ladki ka dupatta ud gaya

ek ustani ki hain chhe ungliyan
umr mein hain un se kam un ke miyan

har taraf gunji hui aawaz hai
wah kya sangit hai kya saz hai

koi khargoshon ko daudata phire
koi filmi git hi gata phire

hain bahan baithi hui is tak mein
bhai se kaise khilauna chhin len

farz mama ka kahani bhi sunaen
khud bhi jagen dusron ko bhi jagaen

kya majal us waqt tak ye so saken
jab talak ammi ki ghudki sun na len


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close