aao bachcho git sunaen nainital ka haal bataen ek pahadi desh basa hai qudrat ke rangon se bhara hai unchi unchi hain chattanen jaise qile ki diwaren bal khai sadkon ke kinare hare bhare pedon ke nazare hadd-e-nazar tak hara-bhara hai rang-biranga phul khila hai khushbu se mahki hain fazaen bhini bhini mast hawaen is dharti ke rang albele god mein jis ke baadal khele china pik ki unchi choti ewerest ki hai yaad dilati aath hazar foot unchai par khinch aaya jannat ka manzar may june mein khasi sardi jadon mein hai barf barasti snowfall wo haule haule jaise nature moti role nila nila jhil ka pani gahre tal ki hai ye nishani lahron se takraati kashti chali kinare hatti bachti