rah-e-ulfat pe chal ke dekho to apne gham se nikal ke dekho to jis taraf dekho be-qarari hai sari duniya hi gham ki mari hai yun to kitne hi khub-surat hain ek duje ki hum zarurat hain teri yaadon mein kho rahe hain hum apni palken bhigo rahe hain hum meri baaton ka e'tibar karo mere mahbub mujh se pyar karo dar-haqiqat jo 'ishq karte hain phir jo chahen wo kar guzarte hain wo mohabbat mein na-mukammal hain husn par marne wale pagal hain zindagani hai khatm hona hai husn fani hai khatm hona hai be-zabanon ki hum nida hote kash kirdar par fida hote khud ye anjam kar ke baithe hain 'ishq-e-na-kaam kar ke baithe hain