koi in ko pakad nahin sakta ud ke jaan apni ye bachati hain baith kar algani pe khush ho kar par khujati hain dum hilati hain kaam ke waqt karti hain ye kaam kaam se munh nahin churaati hain baith kar khuntiyon pe chhinkon par apni chun chun hamein sunati hain khel ke waqt khelti hain ye mil ke udham bahut machati hain jab basere ka waqt hota hai ek tufan sa uthati hain sham ko jama ho ke pedon par ghul machati khushi manati hain raat aur nind aati hai jis dam chupki pedon pe baith jati hain phir paron mein chhupa ke chonchon ko nind ke ye maze udati hain uth ke tadke phir apni chun chun se apne malik ke git gati hain