ek adakar hun main main adakar hun nan jini padti hain kai zindagiyan ek hayati mein mujhe mera kirdar badal jata hai har roz nai seat par mere haalat badal jate hain mera chehra bhi badal jata hai afsana-o-manzar ke mutabiq meri aadat badal jati hain aur phir dagh nahin chhutte pahni hui poshakon ke khasta kirdaron ka kuchh chura sa rah jata hai tah mein koi nokila sa kirdar guzarta hai ragon se to kharashon ke nishan der talak rahte hain dil par zindagi se ye uthae hue kirdar khayali bhi nahin hain ki utar jaen wo pankhe ki hawa se siyahi rah jati hai sine mein adibon ke likhe jumlon ki simin parde pe likhi sans leti hui tahrir nazar aata hun main adakar hun lekin sirf adakar nahin waqt ki taswir bhi hun