shairi jhankar nahin jo tal par nachti rahe gaya waqt jab khwaja-sara tuti kaman hote the aur maut par taliyan pita karte the pazeb pahan kar maidan mein nahin bhag sakte ye kahin bhi sath chhod sakti hai ghaar mein chuni-chunai jagah hai dar hai ba-mashaqqat qaidi hai lekin nazm mein na ghaar hai na dar hai na mashaqqat hai phir bhi ek qaid hai jab hum zaminon ko padhne nikalte hain to charind parind ki zarurat nahin rahti insan ki pahli aanwal-nal aziyyat hai khel to khalandara hi rahta hai