kai girhen ki jin ko kholne ki zid mein apne nakhunon ko hum ganwa baithe kai baaten ki jin ko bandhne ki koshishon mein moch aai thi kalai mein kai chehre ki jin ke khal-o-khat ko hum mitane ke jatan mein dhote rahte the barabar apne lauh-e-chashm ab bhi gher lete hain guzarte waqt ne har tajrabe ko kah ke bachkana hamein qail kiya lekin abhi tak ungliyon ki tis tadpati hai rah rah kar larazti hai kalai ab bhi lauh-e-chashm par har naqsh wazeh-tar hai pahle se