hijab-e-fitna-parwar ab utha leti to achchha tha khud apne husn ko parda bana leti to achchha tha teri nichi nazar khud teri ismat ki muhafiz hai tu is nashtar ki tezi aazma leti to achchha tha teri chin-e-jabin khud ek saza qanun-e-fitrat mein isi shamshir se kar-e-saza leti to achchha tha ye tera zard rukh ye khushk lab ye wahm ye wahshat tu apne sar se ye baadal hata leti to achchha tha dil-e-majruh ko majruh-tar karne se kya hasil tu aansu ponchh kar ab muskura leti to achchha tha tere zer-e-nagin ghar ho mahal ho qasr ho kuchh ho main ye kahta hun tu arz-o-sama leti to achchha tha agar khalwat mein tu ne sar uthaya bhi to kya hasil bhari mahfil mein aa kar sar jhuka leti to achchha tha tere mathe ka tika mard ki qismat ka tara hai agar tu saz-e-bedari utha leti to achchha tha ayan hain dushmanon ke khanjaron par khun ke dhabbe unhen tu rang-e-ariz se mila leti to achchha tha sananen khinch li hain sar-phire baghi jawanon ne tu saman-e-jarahat ab utha leti to achchha tha tere mathe pe ye aanchal bahut hi khub hai lekin tu is aanchal se ek parcham bana leti to achchha tha