wahi baadalon ke barasne ke din the magar wo na barse mubarak ho shura ki sanat-gari ko mashaqqat se bijon ko tayyar kar ke ugai thi sahra mein chuhon ki kheti jo aahista aahista badhte rahe phir khade ho gae apni dum ke sahaare katarne lage aise pyasi zabanon ke nauhe jo mashkon ke andar amanat pade the khabasat ne ugle the manhus bhuton ke lashkar ki chuhon ki imdad karte hue nur ki bastiyon mein wo dakhil hue jo udate the gard o ghubar apne sar par phate tabal ka shor girta tha dil par bhayanak sadaon mein bazu utha kar chalane lage raqs mein tez panw taffun mein lipte hue sans chhode badhe kichkachate hue dant apne hazaron taraf se farishton ne dekha to ghabra gae aur khasta pyalon ko reti se bhar kar sukadne lage apne khemon ki jaanib wo reti ke zarre jinhen aab suraj ki kirnon ne di thi magar wo na barse wahi baadalon ke barasne ke din the