chalo makan ki musibat se bhi najat mili ye khwab-gah, ye kitchen, ghusl-khane aur baithak main sochta hun mujhe sochne ko baat mili hui hain sirf mashaqqat ki koshishen an-thak nazar-ruba dar-o-diwar ke banane mein ye qumqume ye tamaddun ki ikhtira-e-jadid badhi zalalat-e-idrak tirgi na miti ye sidhiyan hain nigahon ke pech ki mazhar hayat ki koi pechidgi na dur hui magar main mahw hun idbar ke mitane mein ye sidhiyan hain jo in par se gir pade koi bari ghadi na khuda lae jaane kab aa jae ye chikna farsh ise dekhta rahe koi jo kal ko panw tumhaara kahin phisal jae khuda karam kare mera to dam nikal jae main sochta hun mujhe soch ka junun jo hua ye mere zehn ka mahaul pur-fusun jo hua ye mera zehn mujhe le chala hai dur kahin wahan jahan kabhi pahle bhi tha makan apna falak ke sae mein hum the kabhi panah-guzin ye farsh-e-khak tha qalin-e-zar-fashan apna ye mahr o mah ye tare the apne ghar ke diye gul-o-gaya se hai labrez pur-bahaar zamin jilau mein husn liye dawat-e-nazar ke liye kabhi hamare liye thi nashist-gah-e-hasin ye zulf pech se begana mauj-e-sahba thi ki jis ka barson meri ungliyan rahin shana ye teri hamdami ek kaifiyat thi nashsha bhi jahan bhi chahna fauran wahin chale jaana wo subh sahil-e-dariya wo sham zer-e-chinar guzar gai wo masarrat ki subh-o-sham apni hamare dosh pe jab tha na jabr-o-qadr ka bar chalo chalo ye hikayat hai talkh-kaam apni utho utho dar-o-diwar ko sajaana hai makan ko ghahnon-ladi ek dulhan banana hai