hai andaz-e-nim-sahar nirala aaj hans hans ke ghunchon ko gudgudaya aaj aangan mein dar aai naweli kiran pahne ujla sunahri pairahan baad-e-sana git chidiyon ne gaya ho mubarak sal naya aaya nazar se hawadis ki bachana khuda har din khushi ka dikhana khuda har naya sal kahte kahte ye aae chaman sada muskurae gul khilae