nae sal ki yun khushi hum manaen ki ruthe huon ko gale se lagaen gae sal ke sare gham bhul jaen naya sal aaya nae gul khilaen sitaron se dharti ka daman sajaen nazaron ko taswir-e-jannat banaen rahe raj dharti pe ab shanti ka na chhaen kahin jang ki ab ghataen mitana hai hum ko kudurat dilon se har ek samt se aaen bas ye sadaen hamin pasban kal banenge watan ke karen ahd jo bhi wo kar ke dikhaen naya sal ya rab mubarak ho sab ko nae roz-o-shab sab ko hi ras aaen nae sal ki yun karen peshwai ghamon ko bhula kar faqat muskuraen isi gulsitan ke hain sab phul 'jauhar' khilen muskuraen hansen aur hansaen