koi mujh se kahta hai sargoshiyon mein kabhi aaine ko sanwaro sajao to dekho ki is aaine mein tumhaare siwa aur koi nahin hai ye parchhaiyan ye shabihen to sab aks hain un zamanon ka aise mazi ka tarikh jis ko apna banane se inkar karti hai ki is mein koi aks jhuta nahin hai magar sach bhi to is kahani ka ek nahin hai tumhaara tasawwur tumhaara takhayyul to ek dewta hai wahi dewta jo azal se mohabbat ka markaz mohabbat ka mehwar raha hai badi sadhna se lagan se duaon se us ko bulaya ki aaina raushan ho aankh us ko dekhe magar kis ko dekhe ki jab bhi ye aaina raushan hua hai mera aks khud meri aankhon ka parda bana hai