barahna-sar hain barhana tan hain barhana-pa hain sharir ruhen zamir-e-hasti ki aarzuen chatakti kaliyan ki jin se budhi udas galiyan mahak rahi hain gharib bachche ki jo shua-e-sahar-gahi hain hamari qabron pe girte ashkon ka silsila hain wo manzilen jin ki jhalkiyon ko hamari rahen taras rahi hain unhi ke qadmon mein bas rahi hain hasin khwabon ki dhundli duniyaen jo sarabon ka rup dhaare hamare ehsas par sharare undelti hain unhin ki aankhon mein khelti hain unhi ke gum-sum udas chehron par jhilmilate hue tabassum mein dhal gae hain hamare aansu hamari aahen tawil tarikiyon mein kho jaenge jab ek din hamare sae is apni duniya ki lash uthae to sail-e-rawan ki koi mauj-e-hayat-saman farogh-e-farda ka rukh pe dale mahin parda uchhal ke shayad samet le zindagi ki sarhad ke us kinare pe ghumte aalamon ke dhaare ye sab ja hai ba-ja hai lekin ye totli nau-khiram ruhen ki jin ki har sans angbin agar inhi konpalon ki qismat mein naz-e-baalidgi nahin hai to bahti nadiyon mein aane wali hazar sadiyon ka ye talatum sukut-e-paiham ka ye tarannum ye jhonke jhonke mein khulte ghunghat nai ruton ke thaki khalaon mein lakh an-dekhi kahkashaon ki kawish-e-ram hazar na-afrida aalam tamam baatil na un ka maqsad na un ka hasil agar inhi konpalon ki qismat mein naz-e-baalidgi nahin hai