us ne jab pahla hamla kiya to main chup raha kyunki main mahfuz tha us ne jab dusra hamla kiya tau main thoda sa sochne laga lekin chup raha kyunki main mahfuz tha phir meri khud-gharzi ne mujhe be his kar diya wo lagatar hamla karta raha aur main lagatar khud ko mahfuz samajh kar chup raha na sirf chup raha balki hamesha apne hi logon ko jazbaati aur be-sabr kahta raha magar ab jabki meri khud-sakhta soch ke sath sath meri gardan bhi apni marzi se hil nahin sakti hai to mera zamir bar-bar kos raha hai ki tu na ab apnon ka raha na ghairon ka kyunki tu apnon ki khubiyon ko nazar-andaz karta raha aur ghairon ki khamiyon ko bahana-bazi se pasand karta raha ab mera wajud gum ho chuka hai kyunki main apnon se dur ho kar sarab ke chashmon mein apnon ki suraten talash kar raha hun