raat kaghaz qalam ka ajab khel tha un ke qadmon ka naqsha banaya gaya aur qadmon mein dil ko sajaya gaya dil ki mearaj the naqsh-e-pa pyar ke kya machalta tha dil zindagi war ke aur phir jag utthi ada husn ki mera dil un ke zer-e-qadam aa gaya meri jurat to dekho ai jaan-e-wafa apna zauq-e-junun aazmata raha tere qadmon ko main ne mitaya nahin dil kuchalte rahe dil banata raha