nazm bahut aasan thi pahle ghar ke aage pipal ki shakhon se uchhal ke aate jate bachchon ke baston se nikal ke rang-ba-rangi chidiyon ki chahkar mein dhal ke nazm mere ghar jab aati thi mere qalam se, jaldi jaldi khud ko pura likh jati hai ab sab manzar badal chuke hain chhote chhote chaurahon se chaude raste nikal chuke hain nae nae bazar purane gali mohalle nigal chuke hain nazm se mujh tak ab koson lambi duri hai in koson lambi duri mein kahin achanak bam phatte hain kokh mein maon ke sote bachche katte hain mazhab aur siyasat donon nae nae nare ratte hain bahut se shahron bahut se mulkon se ab chal kar nazm mere ghar jab aati hai itni ziyaada thak jati hai mere likhne ki table par khali kaghaz ko khali hi chhod ke rukhsat ho jati hai aur kisi footpath pe ja kar shahr ke sab se budhe shahri ki palkon par! aansu ban kar so jati hai