dair viran hai haram hai be-kharosh barhaman chup hai muazzin hai khamosh soz hai ashlok mein baqi na saz ab wo khutbe mein na hiddat hai na josh ho gai be-sud talqin-e-sawab ab dilaen bhi to kya khauf-e-azab ab harif-e-shaikh koi bhi nahin khatm hai har ek mauzu-e-khitab aaj maddham si hai aawaz-e-darud aaj jalta hi nahin mandir mein ud kya qayamat hai yakayak ho gaya mahfil-e-zohhad par tari jumud rabb-e-bar-haq khaliq-e-ali janab ho gae apne mission mein kaamyab silsila rushd-o-hidayat ka hai khatm aasman se ab na utregi kitab mar gaya ai wae shaitan mar gaya