fasl-e-bahaar aai magar hum hain aur gham har samt se hain ghere hue sadma-o-alam aai na uf zaban pe sitam par hue sitam kya imtihan ke waste thahre hain sirf hum jab apni quwwaton pe bharosa nahin raha behtar hai phir jahan se utha le hamein khuda is umr-e-chand-roza mein ki lakh justuju chhani hai hum ne khak zamane mein ku-ba-ku shikwa adu ka kya hai jab ahbab hain adu jine ki ek second nahin ab to aarzu hum ne samajh liya ki jahan se guzar gae jab dil hi mar gaya to sab arman mar gae hum par giraen charkh ne is had pe bijliyan dam-bhar mein jal ke khak huin sari ustukhan chalti rahin hawa-e-mukhalif ki aandhiyan aata nahin samajh mein ki ja kar chhupen kahan zer-e-zamin bhi chain ki ummid ab nahin phir kya hai ye bata de koi gar ghazab nahin makr-o-fareb se jo karen zindagi basar sau jaan hazar dil se ho qurban har bashar din raat hum hon aur hon ahbab-e-khira-sar iman-dariyon mein kati zindagi agar har ek ki nigah mein bas khar ho gae be-sonche-samjhe mustahiq-e-dar ho gae dawa to ye hai hum bhi musalman hain zarur kalma jo pochhiye to nahin yaad hai huzur kya gham agar shikasta azizon ke hain qubur tera ye is pe had se ziyaada hai kuchh ghurur melon ke waste jo talab ho to khub den qaumi jo koi kaam ho to nam bhi na len puchha agar ibaadat-e-khaliq hai koi chiz farmaya dil mein ye to nihayat hai bad-tamiz aiyyashiyan jo kijiye to aap hain aziz ai qaum kahili hai teri ghar ki ab kaniz achchhi buri ka jab to nahin imtiyaz hai be-maegi par apni faqat tujh ko naz hai hushyar koi lakh kare to hai be-khabar is darja be-haya ki nahin dil pe kuchh asar nazan hain sirf bap ke dada ke nam par qarze mein ho rahi hai magar zindagi basar dekho to ghair hanste hain hoshyar ho zara lillah ab to khwab se bedar ho zara phulo-phalo ilahi raho shad sar-ba-sar ho nakhl-e-ittihad hamesha ye barwar wo din khuda dikhae ki le aae ye samar aana hai tum ko manzil-e-maqsud tak agar dali hai ittihad ki tum ne jo dagh-bel himmat na haaro jaan ke bachchon ka ek khel dekho to aur qaumon mein kya ittihad hai daulat se aur ilm se har ek shad hai tum mein bhi aaj aisa koi khush-nihad hai mahmud ka ye qaul hamein ab to yaad hai do din rahe jo aa ke jahan mein to khal gae aakhir ko misl-e-khar-e-chaman se nikal gae ai sakinan mauza-e-jugwur assalam duniya hai aaj tum ko har ek baat ka payam ab to nikalo apni dilon se khayal-e-kham achchha nahin jo ghair ke ban jao tum ghulam achchhi nasihaton pe amal phir zarur hai koi na ye kahe ki sarasar qusur hai apne umur mein na karo ghair ko sharik shar ko na dhundho aur karo khair ko sharik achchhe nahin safar jo karen sair ko sharik kabe ke zikr mein na karo dair ko sharik tum khud rahe ho sahib-e-iqbaal dahr mein kyun dhundte ho zaiqa-e-shahd zahar mein akhlaq ka charagh bujhana na chahiye zulmat-kada mein ghair ke jaana na chahiye sachchi nasihaton ko bhulana na chahiye tum ko kisi fareb mein aana na chahiye allah ke bharosa pe har kaam tum karo dushman bhi jis ko man len wo nam tum karo
Please share if you liked this!!!