ai sar-zamin-e-pak ke yaran-e-nek-nam ba-sad khulus shair-e-awara ka hai nam ai wadi-e-jamil mere dil ki dhadkanen aadab kah rahi hain teri bargah mein tu aaj bhi hai mere liye jannat-e-khayal hain tujh mein dafn meri jawani ke chaar sal kumlae hain yahan pe meri zindagi ke phul in raston mein dafn hain meri khushi ke phul teri nawazishon ko bhulaya na jaega mazi ka naqsh dil se mitaya na jaega teri nashat-khez faza-e-jawan ki khair gul-ha-e-rang-o-bu ke hasin karwan ki khair daur-e-khizan mein bhi teri kaliyan khili rahen ta-hashr ye hasin fazaen basi rahen hum ek khar the jo chaman se nikal gae nang-e-watan the hadd-e-watan se nikal gae gae hain is faza mein wafaon ke rag bhi naghmat-e-atishin se bikheri hai aag bhi sarkash bane hain git baghawat ke gae hain barson nae nizam ke naqshe banae hain naghma nashat-e-ruh ka gaya hai barha giton mein aansuon ko chhupaya hai barha masumiyon ke jurm mein badnam bhi hue tere tufail morid-e-ilzam bhi hue is sar zamin pe aaj hum ek bar hi sahi duniya hamare nam se bezar hi sahi lekin hum in fazaon ke pale hue to hain giryan nahin to yan se nikale hue to hain