kaif-e-jaan nur-e-basar yaad aaya arsa-e-harf-o-hunar yaad aaya dasht-e-imkan ki pahnai mein khak bar-sar the ki ghar yaad aaya lutte lutte bhi dil-e-mahzun ko dard ka rakht-e-safar yaad aaya jab ganwa aae mata-e-hasti tab hamein jaan ka zarar yaad aaya bazm-e-jaanan hi sahi bazm-e-khayal dil ka sannata magar yaad aaya shab-e-mahjuri mein hangam-e-nazaa matl-e-nur-e-sahar yaad aaya phir bujha dip koi palkon par phir mujhe dida-e-tar yaad aaya kaun mange hai shabistan-e-visal bas ek aashufta-nazar yaad aaya phir hua dil mein khayalon ka hujum phir hamein silk-e-guhar yaad aaya