wo ek mufakkir-e-azim shair tha wo iqbaal shairon ka wo zindagani ka raaz-dan wo kaamrani ka naghma-khwan maqbul tha hind-o-pak mein wo yaksan tarana-e-hind ka wo khaliq wo falsafi tha wo rahnuma tha diya falsafa jis ne khudi-o-be-khudi ka tamam duniya ke nazm-ha-e-siyasat tamam duniya ke nuqta-ha-e-nazar the us ki chashm-e-bina mein raushan tha magar wo aashiq-e-asia harif tha ahl-e-maghrib ka wo khitab jis ko diya tha qaum ne us ki wahi tha shair-e-mashriq tha wo muballigh islam ka be-shak ki islam hai amn-o-rahat ka mazhab wo tha ek mard-e-kaamil insan mukammal garche tha barahman-zada kashmir ka nazar mein us ki tha dewta sa watan ki mitti ka har ek zarra khirad thi us ki nigah mein hech-o-past junun-e-ishq ka tha wo dil se qail wo tha ek paighambar ilm-o-amal ka thi na mahdud shaeri us ki na tha mahdud daera us ke paigham ka the mukhatab us ke sari duniya ke aam-o-khas kisanon mazduron ka tha wo hami kah gaya wo apne sher mein jis khet se dahqan ko mayassar na ho rozi us khet ke har khosha-e-gandum ko jala do