nazr-e-watan phir ai dil diwana chahiye phir har qadam pe sajda-e-shukrana chahiye phir sar-zamin watan ki hai nazron ke samne phir lab pe ek nara-e-mastana chahiye bachpan ki yaad leti hai phir dil mein chutkiyan phir be-khudi ba-hujjat-e-tiflana chahiye barson ke baad aae hain bagh-e-watan mein hum phir har kali ko sajda-e-mastana chahiye kohsar sabz-posh nazar aae dur se phir lab pe chaar bait ka afsana chahiye jis kuche mein huin kabhi ruswaiyan nasib us ka tawaf ba-dil-e-diwana chahiye bakhsha tha jis ne pahle-pahal dil ko dard-e-ishq phir us ke dar pe sajda-e-shukrana chahiye phir dil ko ho yaqin na kisi ke visal ka phir waqia ba-surat-e-afsana chahiye phir shauq se milenge kisi gul-ezar se phir lab pe shor-e-bulbul-e-mastana chahiye jhula jhulaenge kisi mast-e-shabab ko raqsan faza mein phir mai-o-mai-khana chahiye pae talab ko wadi-e-parwin hai nim-gam phir aarzu ko manzil-e-jaanana chahiye phir khirman sukun ko hain darkar bijliyan phir be-hijab jalwa-e-jaanana chahiye phir zauq-e-mai-kashi ko hai mearaj ki talab kausar ka baada chand ka paimana chahiye phir shauq ban ke dil mein dhadakti hai zindagi phir jumbish-e-tabassum-e-jaanana chahiye phir sina-e-umid mein raqsan hai barq-e-tur phir pursish mazaq kalimana chahiye baala-e-koh saya-e-abr-e-bahaar mein parwin-o-mahtab ka kashana chahiye phir us harim-e-nur ke aaghosh-e-naz mein ek gul-kada ba-rang-e-pari-khana chahiye phir abr-o-bagh-o-nikhat-o-gul ke hujum mein shama o sarw o baada-o-paimana chahiye phir us ki chashm-e-mast pe gesu hon pur-fishan phir abr-e-sham-gun sar-e-mai-khana chahiye phir chandni mein daman-e-dariya ye ai nadim raqs-e-sharab-o-gardish-e-paimana chahiye josh-e-tarab ne hashr sa dil mein kiya bapa phir be-khudi ko girya-e-mastana chahiye 'akhtar' watan mein aa ke khula hai ye husn-e-raaz is mukhtasar si umr mein kya kya na chahiye