meri bachchi ne mujh se kal puchha baba ye aasman hai nila kyun main ne socha par us se kah na saka ye sawal us ke dil mein aaya kyun kyun ye baaten hain itni dil-awez hai ye andaz itna pyara kyun kyun hain lab par ye itne sare sawal hai tabassum ye phul jaisa kyun mere dil mein udhed-bun kya hai main sitaron se ja ke uljha kyun sitam-angez zindagi dil-kash phir ye anjam-e-kar marna kyun main ne ye kya jawab socha hai tum ne aisa sawal puchha kyun