main takhayyul ke tashaddud ka shikar dekhta hun aasman se saya saya chithde girte hue sun raha hun fadfadati dhup ki pili sada dard ki budhi chudelen aankh ke sahra mein apni retli aawaz mein sab ko pukaren aao aao main akela apne sannate mein gird-o-pesh ke aashob mein khoya hua chal raha hun raste ke sang-reze aankh se chunte hue taki pathrai hui mar mar ki sadken rafta rafta mere panw chat len chal raha hun jaane kis jaanib mujhe jaana hai kyun jaana hai shayad faslon ki intiha uftadgi hai aur shayad manzilen is wahime ki maut ki manzar hain jo taza lahu ke aaine ka aks hai aur kya malum ye bhi wahima ho kash koi lafz apni band mutthi khol de aur kaghaz par bichhi satron ka jal mujh pe chaaron samt se aa kar gire kya khabar aazad ho jaun wadaq rit ke kohram se chikhti chilen zamin se saya saya chithadon ko le uden aur main mitti ki nangi god mein lete hue aasman ko apne upar odh lun